Friday, 20 January 2012



Ghazal:

"Kya keh gayi kisi ki nazar kuchh na poochhiye,
Kya kuch hua hai dil pe aser kuch na poochhiye; 

Woh dekhna kisika kanakhion se baar baar,
Wo baar baar uska aser kuch na poochhiye;

Ro ro ke kis tareh se kati raat kya kahen,
Mer mer ke jee hai saher kuch na poochhiye;

Akser khyaale husna main pauche hai mer ke hum,
Kyon ker hua hai taye ye safer kuch na  poochhiye."

--

Ram Mohan Dixit 






Ghazal2: 


"Mu'habbato.n ki yeh waardaatein koi sunega to kyaa kahega, 
Yeh behki-behki hamaari baatein koi sunega to kyaa kahega; 

Raqbato.n ki qayaamato.n se khandarein tabdeel ho rahi hain, 
Hamaari chaahat ki kaayenaatein koi sunega to kyaa kahega; 

Tumhaare khat se yeh lag raha hai ke rote-rote likha hai tumne, 
Yeh ankahi si tumhaari baatein koi sunega to kyaa kahega; 

Hum hi hain mazloom, hum hi zaalim, hum hi maqtool, hum hi qaatil, 
Hum hi hain mohre, hum hi bisaatein, koi sunega to kyaa kahega; 

Tere tasavvur ka aana jaana mere takhayyul ki waadiyo.n mein, 
Baghair dulhe ki yeh baaraatein koi sunega to kyaa kahega."

Mallick M Shams...
... 

No comments:

Post a Comment